Thursday, June 7, 2012

kyun nhi hota


har pal jo koi chahta hai wo kyun nahin hota?

yun to har kisi ke paas ek namumkin sapna hota hai,
par kisi bhi pal jo koi chahe waisa kyun nahin hota??

jane-anjane gaahe-begaahe kuchh log mil jate hain,
par har koi apna kyun nahin hota??

akeli jindagi ko kaatne ke kai raaste hain,
par akelapan mitane ka koi raasta kyun nahin hota??

har koi kisi na kisi se koi waada jarur karta hai,
par har wo shakhs sachha aur pakka kyun nahin hota??

har koi kisi na kisi ka saath jarur khojta hai,
par har kisi ke saath koi na koi kyun nahin hota??

dilo-dimaag me har pal koi sawaal uthta jarur hai,
par har sawaal ka jawaab kyun nahin hota??